Rashmika Mandanna Movie in Hindi | All Movie List of Rashmika Mandanna in Hindi | Rashmika Mandanna




Hi Friends, aaj hum baat karenge 'National Crush' Rashmika Mandanna ke bare mei. 

Rashmika Mandanna ek Indian flim actress and model hai jo Telugu and Kannada flim industry mei ek sath kaam karte hai. 

Rashmika Mandanna ko "Karnataka Crush" ke naam se bhi jane jate hai. 


rashmika mandanna all movie


            2018 saal mei Rashmika Mandanna ke " Geeta Govinda " naam ke ek Telugu flim aaye thi, jiske baad Rashmika Mandanna kafi sarse me aa gaye. Jab "Geeta Govinda " movie ko hindi dubbed version mei release kia gaya tab se toh purey India he Rashmika Mandanna ke fan ho gaye, logo ke dil mei he bas gaye aur purey India ne unhe " National Crush " ka naam din. 

"Geeta Govinda " movie ke budget thi sirf 5 Cr., Lekin iss movie nei 130 Cr. ka business kia jo Telugu box office ke kafi sare records tod diya. 



Rashmika Mandanna


Rashmika Mandanna one of the most highest paid actress in Telugu and Kannada flim industry. 



2019 mei Rashmika Mandanna and Vijay Deverkonda ke ek Telugu flim aye thi jis ka naam tha " Dear Comrade ", iss movie ke hindi dubbed version ko purey India ne khub pyaar dia. 





    Yeh baat bhi nahi hai ke Rashmika Mandanna ke sare flim e he hit huwa ho, kuch film e aisa bhi tha jo box office per flop sabit huwa tha. 



Aaj hum baat karenge Rashmika Mandanna ke starting se lekor aaj tak ka sabhi filmo ke bare mei, kon si film hit rahe aur kon sa flim flop, toh saliye suru karte hai. 



rashmika mandanna all movie



1/Kirik Party (2016): -


Rashmika Mandanna ke first movie ke naam hai " Kirik Party " Jo ek commedy drama Kannada movie hai. Kannada flim industry mei " Kirik Party " ek successful movie sabit huwe hai.

" Kirik Party " Movie ko 30th December 2016 ko release kia gaya tha. 

" Kirik Party " Kannada flim industry ke 3rd highest earning movie hai. Iss movie ka budget tha sirf 6 Cr., Lekin iss movie nei 55 Cr. ka business kia. 

Iss se pehle " Mungaru Male " aur " Mr. and Mrs. Ramachari" he Kannada flim industry ka first flim the jo 50 Cr. se jyada earning kia tha. 

Rashmika Mandanna ke filmy duniya me aate hee logo ke upar apna jadoo chala dia tha. 

" Kirik Party " Movie ko direct kia tha 'Rishab Shetty' ne aur produce kia tha G. S. Guptha and Rakshit Shetty ne. Music direct kia tha B. Ajaneesh Loknath ne. 

IMBD ne iss movie ko 10 me se 8.4 ka Rating dia hai. 


2/Anjani Putra (2017): -



21 th December 2017 mei Rashmika Mandanna ke Second flim "Anjani Putra" release huwa tha. Flim mei Rashmika ke sath lead role mei nazar aya tha Puneeth Rajkumaar. 

"Anjani Putra" Movie ek romantic - action masala Kannada movie hai. 

Iss movie ka budget tha 15 Cr aur Box office collection tha 45 Cr. 

Rashmika Mandanna ke ye second movie bhi zabardast hit rahi. 

Iss movie ko direct kia tha A. Harsh aur produce kia tha M. N. Kumar nei. 

"Anjani Putra" Movie ek Tamil movie "Poojai"(2014) ke remake hai. 


3/Chamak (2017): -


Rashmika Mandanna ke 3rd Movie ke naam hai "Chamak" jo ek romantic comedy Kannada movie hai. 29 th December 2017 ko iss movie ko release kia gaya tha. IMBD nei iss movie ko 10 me se 7 ke rating dia hai. Iss movie ko direct kia tha Suni and produce kia tha T. R. Chandrasekhar nei. 

Iss movie nei box office per 29 Cr. ka business kia tha.Iss movie mei Rashmika ke sath lead role mei Ganesh (kannada actor) nazar aa raha hai. 


3/Chalo (2018): -


Rashmika Mandanna ke first talugu movie hai "Chalo".Flim ka budget tha sirf 3 Cr. lekin Box office collection tha 24 Cr. Rashmika Mandanna ke first talugu movie se he Talugu flim industry ko Rashmika ne apna dewana bana liya. Movie mei Rashmika Mandanna ke sath lead role mei nazar aa raha hai Naga Shaurya. Movie ko direct kia hai Venky Kudumula nei. 

IMBD nei iss movie ko 10 me se 6.3 ka rating dia hai. 


5/Geetha Govinda (2018): -


Talugu flim industry ke sabse jyada successful movie ke naam se jana jate hai " Geetha Govinda".15 th August 2018 ko iss movie ko release kia gaya tha. Rashmika Mandanna ke sath iss movie mei lead role mei nazar aya Vijay Deverkonda. Geetha Govinda movie mei Rashmika Mandanna aur Vijay Deverkonda ke Chamestry audience ko khub pasand aaya. Iss movie ke hindi dubbed version ko bhi logo ne khub pyaar dia. Rashmika Mandanna ke expression aur acting logo ko khub pasand aaya. Iss movie ke baad purey india me Rashmika Mandanna ko ek naya pehchan mila aur logo ne unhe National Crush ka naam bhi dia. Movie ka budget tha sirf 5 Cr. Lakin box office collection tha 130 Cr. jo ek bohot bada record ban chuka hai. IMBD nei iss movie ko 10 me se 7.7 ke rating dia hai. Movie ko direct kia tha Parashuram aur Beautiful songs ko direct kia tha Gopi Sundar. 


6/Devadas(2018): -


"Devadas" ek telugu action- comedy -drama movie hai. IMBD nei iss movie ko 10 me se 6.7 ka rating dia hai. 27 September 2018 ko iss movie ko release kia gaya tha. Iss movie ko direct kia hai Sriram Aditya aur produce kia hai Aswani Dutt nei. Music direct kia hai Mani Sharma nei. Iss movie nei Rashmika Mandanna Telugu flim industry ke bade bade star ke sath nazar aye, Nagarjun Akkineni, Nani Ghanta, aur Akansha Singh. Flim ka budget tha 30 Cr aur Box office Collection tha 45 Cr. Yee movie Rashmika Mandanna ke 3rd Telugu movie hai. 


7/Yajamana(2019): -


"Yajamana" ek action-drama Kannada movie hai. 1st March 2019 ko iss movie ko release kia tha. Flim mei Rashmika Mandanna ke sath lead role mei nazar aya tha Darshan. IMBD nei iss movie ko 10 me se 6.8 ka rating dia hai. Flim ko direct kia tha V. Harekrishna aur Pon Kumaran nei. Box office per yee movie kafi successful rahe. Iss movie ka total box office collection tha 50 Cr. 



8/Dear Comrade(2019): -


"Dear Comrade" ek Telugu action-comedy-drama movie hai. "Geetha Govinda" ke baad "Dear Comrade" movie me Rashmika Mandanna aur Vijay Deverkonda ek sath nazar aaya tha. Bharat Kamma nei iss movie ko direct kia hai. Flim mei Rashmika Mandanna aur Vijay Deverkonda ke Chamastry, Rashmika Mandanna ke expression aur flim ke beautiful music audience ko khub pasand aya. 26 th July 2019 mei iss movie ko release kia gaya tha. IMBD nei iss movie ko 10 me se 7.3 ke rating dia hai. Justin Pravakaran nei iss movie ke beautiful music ko direct kia hai. Iss movie ka box office collection tha 37.33 Cr. Movie nei south indian me utna earning nahi kar paye jitna hona cahiye tha. Lekin "Dear Comrade" ke hindi dubbed version ko logo nei khub pyaar dia. Bobby aur Lilly ke jodi ko audience nei khub pyaar dia. Agar aapne abhi tak iss movie ko nahi dekha hai toh "Goldmines Teleflim" ke official youTube channel per apko ye movie free me million jayega. Abhi tak 130 Million se bhi jyada logo ne iss movie ko youTube per dekha hai. 


9/Sarileru Neekavveru(2020): -


11 th January 2020 ko "Sarileru Neekavveru" movie ko south indian language mei release kia gaya tha. "Sarileru Neekavveru" ek action drama Telugu movie hai. Flim mei lead role mei nazar aa raha hai Rashmika Mandanna aur Mahesh Babu. Abhi tak iss movie ka hindi dubbed version ko release nahi kia gaya hai, coruna virus ke Pendamic situation ke karon iss movie ka dubbing me rukawat aa gaya hai. 


10/Bheeshma(2020): -


21 st February 2020 mei "Bheeshma" Movie ko release kia gaya tha. Movie lead role mei Rashmika Mandanna ke sath nazar aya tha Nithin. "Bheeshma" ek action comedy drama Telugu movie hai. IMBD ne iss movie ko 10 me se 6.6 ka rating dia hai. Box office per iss movie nei 46.25 Cr. ka business kia. Abhi tak iss movie ko hindi dubbed version mei release nahi kia gaya, hope 2020 ke ending me ho jaye. Netflix mei yee movie Talugu language mei english subtitles ke sath available hai. 


Upcoming Movie in 2021

1/Pushpa(Talugu) 

2/Pogadu(Kannada) 



I hope aplogo ko ye post padh kar acha laga hoga, agar acha laga hai toh niche comment karke jarur batana. 

Agar aplogo ko mujhse koi sikayot ya advice dena hai toh zaroor comment kare. 

Rashmika Mandanna ke fan ho toh post ko share karo. 

Love you guys, byy. 

Stay tuned for my next blog.